Sangharsh Aur Jindagi

Here is my poem, the one of two or three hindi poems, I made.

Hope you"ll sangharsh to read it. Hoping your comments here. :)

Good day...

*

*

Jindagi ke har padav pe,

jindagi ne khuch diya nahi,

diya to sirf gam diya,

lakin hum ne gila shikva kiya nahi.

Janamdin par bhi hamare,

kabhi koi uphaar diya nahi,

ek jakham hi de diya,

taki jindagi ko hum bhulaye nahi.

pyaar se bulaya hum ne unko,

vo hum thukra gaye,

lakin jab unka kaam aaya,

usi shun hume bulaya vahin.

kitne-kitne papad bele,

jindagi ko kabhi dosh diya nahi,

chote hum se bhi bade ho gaye,

lakin hume bada banaya nahi.

Nirdosh jindagi dosh karma ka,

hum ne kabhi bataya nahi,

tyaag karne ke baad bhi,

hume khuch mil paya nahi.

Vyangye bana diya jindagi ne,

par kabhi haar mani nahi,

sangharsh abhi bhi jaari hai,

dharya abhi toota nahi.

© Harsh Choudhary 2008